tu bhi rukhsat ho raha hai dhup bhi dhalne ko hai mere andar ek charagh-e-sham-e-gham jalne ko hai kab talak is hijr mein aakhir ko rona chahiye aankh bhi khun ho gai daman bhi ab galne ko hai gulsitan mein pad gai hai rasm-e-tajsim-e-bahaar apne chehre par har ek gul khun-e-dil malne ko hai ajnabi si sarzamin na-ashna se log hain ek suraj tha shanasa wo bhi ab dhalne ko hai har nai manzil ki jaanib surat-e-abr-e-rawan mere hathon se nikal kar mera dil chalne ko hai shahr par tufan se pahle ka sannata hai aaj hadisa hone ko hai ya saneha talne ko hai ek hawa-e-tund aur hamrah kuchh chingariyan khak si udne ko hai aur aag si jalne ko hai samne hai nind ki lambi masafat aaj shab karwan-e-anjum-o-mahtab bhi chalne ko hai