dasht mein ye jaan-fazan manzar kahan se aa gae is bayaban mein chamakte ghar kahan se aa gae qarya-e-jaan mein jhulasti dhup thi chaaron taraf saya le kar abr ke lashkar kahan se aa gae wadi-e-takhil to be-rang thi ek umar se gum-shuda yaadon ke ye paikar kahan se aa gae dhah chuki thin jab tamannaen sabhi khandaraat mein shahr-e-dil mein phir ye baam-o-dar kahan se aa gae kis ne bakhshi hai inhen phir se udanon ki sakat hauslon ko phir se baal-o-par kahan se aa gae kal talak chhaya hua tha matam-e-be-chehragi aaj nezon par achanak sar kahan se aa gae dushmanon mein the to hum par phul ki barish hui doston mein hain to ye patthar kahan se aa gae kha gaya tha jab samundar sipiyan sari 'khumar' phir tumhaare hath ye gauhar kahan se aa gae