dil kis ke tasawwur mein jaane raaton ko pareshan hota hai ye husn-e-talab ki baat nahin hota hai meri jaan hota hai hum teri sikhai mantiq se apne ko to samjha lete hain ek khar khatakta rahta hai sine mein jo pinhan hota hai phir un ki gali mein pahunchega phir sahw ka sajda kar lega is dil pe bharosa kaun kare har roz musalman hota hai wo dard ki us ne chhin liya wo dard ki us ki bakhshish tha tanhai ki raaton mein 'insha' ab bhi mera mehman hota hai