guzarte lamhon ke dil mein kya hai hamein pata hai hawa ke aanchal pe kya likha hai hamein pata hai sulag rahi hai kahan pe chingari nafraton ki dhuan kahan se ye uth raha hai hamein pata hai safina kis tarah par utaren ye hum se puchho samundaron ka mizaj kya hai hamein pata hai kahan kahan hadse chhipe hain khabar hai hum ko kahan se manzil ka rasta hai hamein pata hai jo umar bhar zulm se lada sindbaad ban kar use zamane ne kya diya hai hamein pata hai jo de raha hai duhai masumiyat ki apni wahi to sazish ka sarghana hai hamein pata hai khizan ne gulshan se jate jate 'khumar'-sahab saba ke kanon mein kya kaha hai hamein pata hai