dasht ne talib-e-gulzar kiya hai mujh ko meri wahshat ne gunahgar kiya hai mujh ko gosha-e-zat mein aabaad hai duniya meri khud ki hasti ne giraftar kiya hai mujh ko naql-o-harakat ne banaya hai tamasha mera bad-hawasi ne saza-war kiya hai mujh ko ab mere kaam jo aae to hunar bhi kaise dil ne shohrat ka parastar kiya hai mujh ko jism ke sehr se nikla to ye jaana main ne ruh ne surat-e-afkar kiya hai mujh ko kya bataun ki azal se hai tamanna jis ki us ne kis kis ka talabgar kiya hai mujh ko khud se ladta hun to lagta hai ki ran mein 'rahat' waqt ne qafila-salar kiya hai mujh ko