gham ka hamil na kuchh khushi ka hai dil giraftar aashiqi ka hai husn aur mail-e-karam tauba ye muqaddar kisi kisi ka hai koi luta gaya sar-e-manzil tazkira har jagah usi ka hai wo nazar bhar ke dekhta hi nahin aks dil mein magar usi ka hai maut se to mafar nahin hargiz asl matam to zindagi ka hai nind aankhon se shauq se jae ranj furqat mein bekali ka hai wo 'nazar' ko bacha ke jate hain waqia ye abhi abhi ka hai