dasht-o-sahra mein kabhi khak uda bhi na sakun itna gumrah na kariyo tujhe pa bhi na sakun mashrab-e-musa pe hasrat ka asa thame hue khizr ko dhundh raha hun kahin ja bhi na sakun ab tu mujh se na juda hone ki qasmen kha le main to yaqub nahin ashk baha bhi na sakun kya sitam hai meri taswir banane wale main tujhe apne tasawwur mein basa bhi na sakun yun jala koi sharar tak na rahe mujh mein wuqua tur-e-ummid ka ek tinka jala bhi na sakun hosh uda ja ki siwa tere na sochun kuchh bhi nind uda ja ki koi khwab saja bhi na sakun aql mein bhi to sama dil mein samane wale yaad kuchh rakh na sakun aur bhula bhi na sakun apne daman ka har ek tar udhede hue main apni 'shadab' tabiat ko chhupa bhi na sakun