gulshan pe gul pe aur fazaon pe khak dal phir bhi bache to meri sadaon pe khak dal zulfon pe khak dalna tauhin-e-husn hai koi sabab nikal ghataon pe khak dal is bar tere kaam nahin aa saka na main meri guzishta sari ataon pe khak dal wo haal hai ki haal jo dekhun to dil kahe mazi pe apne thuk wafaon pe khak dal mera ilaj yar ki ungli ke lams hain jaane bhi de tabiba dawaon pe khak dal ek ba-haya se us ki rida chhin na jae dekh rabb-e-karim tez hawaon pe khak dal