dasht-paimai ka gar qasd mukarrar hoga har sar-e-khar pae-abla nashtar hoga mai-kade se tera diwana jo bahar hoga ek mein shisha aur ek hath mein saghar hoga halqa-e-chashm-e-sanam likh ke ye kahta hai qalam bas ki markaz se qadam apna na bahar hoga dil na dena kabhi in sang-dilon ko yaro chur howega jo shisha tah-e-patthar hoga dekh leta wo agar rukh ki tajalli tere aaina khana-e-mayusi mein shashdar hoga chaak kar dalunga daman-e-kafan wahshat se aastin se na mera hath jo bahar hoga ai 'rasa' jaisa hai bargashta zamana hum se aisa bargashta kisi ka na muqaddar hoga