in ko khala mein koi nazar aana chahiye aankhon ko tute khwab ka harjaana chahiye wo kaam rah ke shahr mein karna pada hamein majnun ko jis ke waste virana chahiye hai hijr to kabab na khane se kya husul gar ishq hai to kya hamein mar jaana chahiye is zakhm-e-dil pe aaj bhi surkhi ko dekh kar itra rahe hain hum hamein itrana chahiye danaiyan bhi khub hain lekin agar mile dhoka hasin sa to use khana chahiye tanhaiyon pe apni nazar kar zara kabhi ai bewaquf dil tujhe ghabrana chahiye is shairi mein kuchh nahin naqqad ke liye dildar chahiye koi diwana chahiye