dast-bardar zindagi se hua aur ye sauda meri khushi se hua aagahi bhi na kar saki pura jitna nuqsan aagahi se hua main hua bhi to ek din raushan apne andar ki raushni se hua zindagi mein kasak zaruri thi ye khala pur teri kami se hua dil tarafdar-e-hijr tha hi nahin ab hua bhi to be-dili se hua shor jitna hai kaenat mein shor mere andar ki khamushi se hua kaisa mansab hai aadmi ka ki rab jab mukhatib hua usi se hua ped ho ya ki aadmi 'ghaer' sar-buland apni aajizi se hua