han kahish-e-fuzul ka hasil bhi kuchh nahin lekin hayat be-khalish-e-dil bhi kuchh nahin ab soch lo qadam hain ziyan-gah-e-shauq mein kahna na phir ki jazba-e-kaamil bhi kuchh nahin gahra sukut chap ki aawaz-e-bazgasht rah mein bhi kuchh na tha sar-e-manzil bhi kuchh nahin juz hirs-e-manfat tah-e-dariya bhi kuchh na tha juz wahm-e-afiyat lab-e-sahil bhi kuchh nahin sab jazb-e-arzu ki tamazat ka khel hai dil sard ho to garmi-e-mahfil bhi kuchh nahin badle to ek namuna-e-e'raaz-o-ehtiraaz yun us nigah ki rah mein hail bhi kuchh nahin 'gauhar' khala mein ghurte phirte ho ab kaho kya sach hai bhulna use mushkil bhi kuchh nahin