tasbih o sajda-gah bhi sajda bhi mast mast qibla bhi mast mast hai kaba bhi mast mast qatra bhi apni mauj mein dajla bhi mauj mein dariya bhi mast mast hai sahra bhi mast mast khurshid o mahtab bhi zarra bhi be-dimagh adna o past o arfa o aala bhi mast mast mera wajud aur wajud-e-adam bhi mast pinhan bhi mast mast hai paida bhi mast mast aaina aks aur pas-e-aina bhi mast poshida mast-e-khwab huwaida bhi mast mast aali janab qibla-o-kaba huzur-e-man main hi nahin hun qibla-o-kaba bhi mast mast saghar surahi jam pyala bhi mast mast saqi bhi mast mast hai sahba bhi mast mast yakh-bastagi bhi mast hai aur aah-e-sard bhi chingari aag aag ka shola bhi mast mast ai be-khudi salam tujhe tera shukriya duniya bhi mast mast hai uqba bhi mast mast kuchh teri madh bhari hui aankhen bhi mast hain kuchh un ke sath sath zamana bhi mast mast