dast-e-rahat ne kabhi ranj-e-giran-bari ne kar diya khatm mujhe ishq ki bimari ne ras aai hai na aaegi ye duniya lekin rok rakkha hai mujhe kuch ki tayyari ne harf us paikar-e-gul par na tha aane wala us ko sharminda kiya rasm-e-dil-azari ne yunhi khushbu se moattar nahin sansen meri zulf lahrai hai aangan mein kisi pyari ne hath kya aaega ab jang ko jari rakh kar faisla kar bhi diya shah ki giraftari ne qarya-e-khak se nisbat ki thi khwahish kis ko mujh ko zanjir kiya us ki taraf-dari ne khush nahin aaya mujhe bagh-e-adan bhi 'sajid' mar dala hai mujhe phir meri hushyari ne