har gumbad-e-be-dar mein bhi ek dar hai ki tu hai phir mujh mein koi aur nawa-gar hai ki tu hai ek aur hi aalam hai wara-e-khas-o-khashak ek aur hi manzar pas-e-manzar hai ki tu hai ta-hadd-e-nazar ek nadi hai ki hun main bhi ta-hadd-e-khayal ek samundar hai ki tu hai paiwast hain mitti mein mere panw ki main hun aflak ke sine pe mera sar hai ki tu hai wahshat ise kahiye na tahayyur ise kahiye main bhul chala tha mujhe azbar hai ki tu hai dekhun to tera hona sahaara bhi hai mujh ko sochon to mujhe ek yahi dar hai ki tu hai