koi suragh koi naqsh-e-pa nahin milta tumhaare shahar ka ab rasta nahin milta kaho to tum ko khuda man len mohabbat ka ki hum ko tum sa koi dusra nahin milta ye dasht-e-hijr ki wahshat hai sahiban-e-wafa yahan kisi ko koi aasra nahin milta suno hamein hi jala do ki raushni ke liye hamare shahar ko koi diya nahin milta hawa ne kar diya pamal raushni ka badan charagh-e-baam ka koi pata nahin milta hamein to jis ne pukara khuda laga hum ko wo kaun log hain jin ko khuda nahin milta jahan pe kati thi tazir-e-abla-pai yahin kahin tha koi dasht sa nahin milta ajib shahar hai kufa-mizaj logon ka koi bhi shakhs qarin-e-wafa nahin milta ye wahshaton ko badhane ka waqt hai shah-ji ki khushbuon ka koi silsila nahin milta