furqat ne is tarah bhi hai mara kabhi kabhi

furqat ne is tarah bhi hai mara kabhi kabhi
insan ban gaya hai chhuara kabhi kabhi

ishwa karishma naz-o-ada sab nikal pade
khola shabab ne jo pitara kabhi kabhi

qissa bata raha hai ye laila-o-qais ka
aashiq bhi rah gaya hai kunwara kabhi kabhi

sin dhal gaya nigah ka khanjar hua hai kund
ab wo chalaya karte hain aara kabhi kabhi

tufan himaqaton ka hai allah re khirad
tinke ka dubte ko sahaara kabhi kabhi

ulfat ke raste mein khirad sath sath thi
phir kyon baje hain aql pe barah kabhi kabhi

bimar-e-ishq hota tha main phir bacha liya
lutf-o-karam ka de ke sahaara kabhi kabhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close