dast-o-pa mein mere halqe jo ye zanjir ke hain dar-haqiqat ye karishme meri taqdir ke hain qabil-e-dad nahin kya wo musawwir logo shahr-dar-shahr jo charche kisi taswir ke hain tishna-lab jo lab-e-dariya pe bhi hain rahte hue wo satae hue bigdi hui taqdir ke hain hausla fath ka zamin hua karta hai magar mere dushman hain ki qail meri shamshir ke hain ghair danista nahin hain mere afsane mein wo kai lafz jo tishna meri tafsir ke hain khush agar apni khataon pe ho tum to hum bhi manne wale abhi ishq ki tasir ke hain us ne saunpi thi jo beton ko wirasat mein kabhi aaj afsun ki tukde usi jagir ke hai ye sitare nahin 'talib' ki ye tute hue khwab kisi laila kisi shirin ke kisi hir ke hain