dastan jo bahut purani hai wo kisi ko nahin sunani hai maut se koi bach nahin sakta maut to har kisi ko aani hai ek diya phir hawa mein rakh ke aaj apni taqdir aazmani hai bahar aana hai dub kar mujh ko sar se uncha agarche pani hai jis ko dekha tha main ne maqtal mein shakl anjaani bhi hai jaani hai dil hai ashaar par fida tere teri ghazlon mein kya rawani hai baat manunga ye kaha tha kal tum ne 'ahmad' magar na mani hai