sunaen kaise sar-e-bazm Khaar hone ka dukh

sunaen kaise sar-e-bazm khar hone ka dukh
aur ek bar nahin bar bar hone ka dukh

tera habib na hone ke dukh pe bhaari hai
tere raqibon mein apna shumar hone ka dukh

hum apne shahr mein rah kar bhi roz sahte hain
hiran ka sher se aise shikar hone ka dukh

har ek sans pe be-maut marta hai mujhe
ye pak-damani mein dagh-dar hone ka dukh

hamari apni koi samt tak nahin yaro
yahi hai rah ka udta ghubar hone ka dukh

akela tu hi nahin dosti ka bojh liye
hamare sath bhi hai gham-gusar hone ka dukh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close