fursat mein raha karte hain fursat se zyaada masruf hain hum log zarurat se zyaada milta hai sukun mujh ko qanaat se zyaada masrur hun main apni masarrat se zyaada chalta hi nahin danish o hikmat se koi kaam banti hai yahan baat himaqat se zyaada tanha main hirasan nahin is kar-e-junun mein sahra hai pareshan meri wahshat se zyaada ab koi bhi sachchai mere sath nahin hai yani main gunahgar hun tohmat se zyaada is reg-e-rawan ko main sametun bhi kahan tak bikhra hai wo har-su meri wusat se zyaada raushan hai bahut jhut mere ahd mein 'akhtar' afsana munawwar hai haqiqat se zyaada