har sher se mere tera paikar nikal aae manzar ko hata kar pas-e-manzar nikal aae ye kaun nikal aaya yahan sair-e-chaman ko shakhon se mahakte hue zewar nikal aae is bar bulawe mein kisi mah-jabin ke wo zor-talab tha ki mere par nikal aae ye wasl sikandar ke muqaddar mein nahin tha hum kaise muqaddar ke sikandar nikal aae shab aai to zulmat ki mazammat mein sitare diwar-e-falak tod ke bahar nikal aae us baat ka aandhi ko guman bhi nahin hoga lo ek thi fanus bahattar nikal aae ilham ka mausam utar aata hai zamin par basti mein agar ek sukhnawar nikal aae un sang-zanon mein koi apna bhi tha shayad jo dher se ye qimti patthar nikal aae pindar-e-hunar zauq-e-nazar shiddat-e-ikhlas duniya ke muqabil mere lashkar nikal aae kuchh soch ke ummid-e-wafa bandhte 'anjum' chashme ki jagah kaise samundar nikal aae