dastaras mein kahkashan jugnu diya kuchh bhi nahin shukr hai phir bhi mere maula gila kuchh bhi nahin kaun hai maqtul qatil kaun sab khamosh hain be-hisi hai warna aankhon se chhupa kuchh bhi nahin is dil-e-betab ko taskin aakhir kaun de is ki qismat mein tahammul ke siwa kuchh bhi nahin roz-o-shab ke an-ginat auraq palte hain magar zindagi ki kya haqiqat hai pata kuchh bhi nahin teri qudrat mein hai sare masalon ka hal nihan tere aage mere maula masala kuchh bhi nahin kya ye kam hai ummati hun main tere mahbub ka kaise kah dun ai khuda mujh ko mila kuchh bhi nahin munsifon ke faisle is daur mein hain be-misal us ko dete hain saza jis ki khata kuchh bhi nahin bewafa ko kya sunata main wafa ki dastan main ne us ko aakhiri khat mein likha kuchh bhi nahin main kisi ko kyun sunaun apni rudad-e-hayat tu mera 'maqsud' tujh se to chhupa kuchh bhi nahin