dije nahin kasu ko to phir lijiye bhi nahin neki na ban sake to badi kijiye bhi nahin tauqir-e-husn shart hai dil dene ke liye gar husn hi na ho to kabhu rijhiye bhi nahin howe agarche apni sharafat upar nigah hargiz badi ke kaam pe dil dijiye bhi nahin idhar se site jao aur udhar se phahtta jae aise tarah ke kapde ko phir sijiye bhi nahin dena dilana sara hai ek nam ke liye gar nam bhi na ho to abas chhijiye bhi nahin koi sa moamla ho pahle chhan lijiye yak-bargi bhadak ke kabhu kijiye bhi nahin mai ka maza jabhi hai ki jab mah-ru ho pas gar mah-ru na howe to mai pijie bhi nahin