kitabon se na danish ki farawani se aaya hai saliqa zindagi ka dil ki nadani se aaya hai tum apne husn ke jalwon se kyun sharmae jate ho ye aaina meri aankhon ki hairani se aaya hai ulajhna khud se rah rah kar nazar se guftugu karna ye andaz-e-sukhan us ko nigahbani se aaya hai nadi hai mauj mein apni use is ki khabar kya hai ki tishna-lab musafir kis pareshani se aaya hai sitaron ki tarah alfaz ki zau badhti jati hai ghazal mein husn us chehre ki tabani se aaya hai