dastaras mein nahin haalat tujhe kya malum ab zaruri hai mulaqat tujhe kya malum raat ke pichhle pahar nind-shikan tanhai kaise karti hai sawalat tujhe kya malum tu ba-zid hai ki sar-e-am parastish ho teri main hun paband-e-riwayat tujhe kya malum jashn sawan ka yun badh-chadh ke manane wale zulm kya dhati hai barsat tujhe kya malum shana-e-waqt pe ab zulf-e-pareshan ki tarah bikhri rahti hai meri zat tujhe kya malum silsila-war dahakte hain sahar hone tak sar-e-mizhgan mare jazbaat tujhe kya malum sada baaten thin 'khayal' us ki magar un mein kai chup the rangin khayalat tujhe kya malum