gham-e-hayat pe khandan hain tere diwane ajib sahab-e-irfan hain tere diwane har ek zarra-e-sahra hai aaina-khana hujum-e-jalwa se hairan hain tere diwane diwane na apne hosh ki parwa na apne dard ka fikr gham-e-zamin se pareshan hain tere diwane kahan ye hosh ki auron ki zindagi pe hansen khud apne haal pe khandan hain tere diwane hujum-e-ashk mein chhalka rahe hain paimana harif-e-gardish-e-dauran hain tere diwane bahaar aate hi kya jaane un pe kya guzri ki khud se dast-o-gareban hain tere diwane kabhi to ek nigah-e-jaan-nawaz ho jae hanuz kushta-e-arman hain tere diwane nishat-o-dard mein dekha hai main ne 'darshan' ko har ek haal mein shadan hain tere diwane