daur-e-hazir ka ye kaisa gulsitan hai boliye

daur-e-hazir ka ye kaisa gulsitan hai boliye
phul to har samt hain khushbu kahan hai boliye

aap bhi padhte to honge aaj-kal akhbar mein
jurm kis ka aur kis ki dastan hai boliye

raston se manzilon tak mere panw ke siwa
pattharon par kya koi taza nishan hai boliye

salb ho kar rah gain kyun ehtajaji quwwaten
kaun hum logon mein aakhir be-zaban hai boliye

wo sitam-gar jis se duniya ko aman milti nahin
kis liye wo aaj hum par mehrban hai boliye

jism mitti ruh mehman sans bhi us ki to phir
aap ko kis baat par itna guman hai boliye

kya kahen 'tashna' ki is tuk-bandiyon ke daur mein
shairi ko ab koi sunta kahan hai boliye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close