jaane kitne khatron mein us ne khud ko dala hai jis ne aaina sach ka hath mein sambhaala hai zindagi to hai aasan sabr-o-shukr mein rah kar khwahishat ne sab ko mushkilon mein dala hai jaane kya ho mustaqbil qaum ka khuda jaane ab to sirf mazi ka hi bacha hawala hai hain kahan ujalon ki aabru ke rakhwale har taraf andheron ka aaj bol-baala hai husn ke fusun-karo tham kar jigar baitho mauja-e-tabassum mein dard dhalne wala hai paniyon pe hai pahra aaj bhi yazidon ka kyon laga zabanon par aaj sab ke tala hai phailta sadaon ka daera bhi ab dekho jhil mein khamoshi kei sang jab uchhaala hai nind phir kahan aai dida-e-pareshan mein ghar se jab qadam bahar khwab ne nikala hai kya use bujhaenge log apni phunkon se jis charagh ko 'ashhar' aandhiyon ne pala hai