hai tarjuman alam aur adib hai sardi tabhi to nok-e-qalam se qarib hai sardi dimagh arsh pe hai kanpta zamin pe hai ai bande dars le umda khatib hai sardi main shaal odh ke jo baam par tahalti hun payam-e-dost ki shayad naqib hai sardi larazti kanpti main khud se kahti rahti hun main milne jaun to kaise raqib hai sardi hawa bhi sard hai patjhad bhi hai darakhton par firaq-o-hijr mein lipti ajib hai sardi basi hui hai faza mein wo farhat-angezi sulagte zakhmon ki behtar tabib hai sardi 'sabila' mausam-e-sarma bhi ek neamat hai wo khush-nasib hain jin ko nasib hai sardi