teri talab mujhe hairan kyun nahin rakhti sharik-e-mauja-e-imkan kyun nahin rakhti main zakhm zakhm nahin hun magar masihai mere badan mein meri jaan kyun nahin rakhti main jhankne ke liye to na kahta duniya se ye hoshiyar gareban kyun nahin rakhti mujadila hi zaruri hai to chaman ka nam bahaar jang ka maidan kyun nahin rakhti ajab tarah ki mashaqqat mein dal deti hai zamin-e-khalq mera dhyan kyun nahin rakhti aziz-tar hai unhen khwab to shikast-e-khwab meri misal pareshan kyun nahin rakhti