dawa-e-did kiya jab kisi shaidai ne chaar-su aag chhidak di teri ranai ne lakh dhoke diye rangini-o-ranai ne aankh utha kar bhi na dekha tere shaidai ne un marizan-e-mohabbat ki dawa hai na dua kar diya jin pe karam teri masihai ne dub kar dil ne kiya gharq safina aakhir bahr-e-ulfat mein duboya nahin gahrai ne naqsh-e-pa un ka magar sar ko mayassar na hua dar-ba-dar khwar kiya zauq-e-jabin-sai ne sang hain guhar-e-guhar jin ki ziya bakhshi se bazm-e-hasti mein kuchh aise bhi to hain aaine hum ne dekha to zamane ki nazar us pe uthi bhar diya rang tamashe mein tamashai ne dekhne hi na diya un ko 'rishi' mahfil mein kuchh tahayyur ne kuchh andesha-e-ruswai ne