dayar-e-'dagh'-o-'bekhud' shahr-e-dehli chhod kar tujh ko na tha malum yun roega dil sham-o-sahar tujh ko kahan milte hain duniya ko kahan milte hain duniya mein hue the jo ata ahl-e-sukhan ahl-e-nazar tujh ko tujhe markaz kaha jata tha duniya ki nigahon ka mohabbat ki nazar se dekhte the sab nagar tujh ko ba-qaul-e-'mir' auraq-e-musawwar the tere kuche magar hae zamane ki lagi kaisi nazar tujh ko na bhulega hamari dastan tu bhi qayamat tak dilaenge hamari yaad tere rahguzar tujh ko jo tere gham mein bahta hai wo aansu rashk-e-gauhar hai samajhte hain mata-e-dida-o-dil dida-war tujh ko main 'jalib'-dehlawi kahla nahin sakta zamane mein magar samjha hai main ne aaj tak apna hi ghar tujh ko