tu dariya hai aur thaharne wala main gum hai mujh mein khud se guzarne wala main suraj jaisa manzar manzar bikhra tu aainon ki dhup se darne wala main teri gali se sar ko jhukae guzra hun kabhi zamin par panw na dharne wala main saya saya dhup ugane wala tu khwabon jaisa aankh utarne wala main jis basti mein sham utarne wali ho us basti ke nam se darne wala main kisi waraq par mujhe na likhna dost mere andar bahar roz bikharne wala main