hamare jism ke andar bhi koi rahta hai magar ye kaise kahen hum ki wo farishta hai ajib shakhs hai wo pyas ke jaziron ka pahan ke dhup sada maqtalon mein rahta hai nazar hai din ke chamakte libas par sab ki qaba-e-sham ke paiwand kaun ginta hai hamari uryan hatheli pe ab bhi sham-o-sahar ye kaun hai jo guhar aansuon ke rakhta hai bichhad gae to akele rahenge hum 'shaarib' ki sarason sa hamara tumhaara rishta hai