dayar-e-dil na raha bazm-e-dostan na rahi aman ki koi jagah zer-e-asman na rahi rawan hain aaj bhi rag rag mein khun ki maujen magar wo ek khalish wo mata-e-jaan na rahi laden ghamon ke andheron se kis ki khatir hum koi kiran bhi to is dil mein zau-fishan na rahi main us ko dekh ke aankhon ka nur kho baitha ye zindagi meri aankhon se kyun nihan na rahi zaban mili bhi to kis waqt be-zabanon ko sunane ke liye jab koi dastan na rahi