phailae jab dam hawas ne rasm-e-mohabbat aam hui past hua mear wafa ka ek duniya badnam hui dil ne kaam liya aankhon se khamoshi paigham hui jalwon ki kasrat ke aage tab-e-nazar nakaam hui dekhe hain dastur nirale hum ne wadi-e-ulfat mein rahen jab aasan huin to sai-e-talab nakaam hui chalti hain kis ki tadbiren khel hain sab taqdiron ke sham kisi ki subh mein badli subh kisi ki sham hui mahfil mahfil baaten niklin kya kya charche aam hue tera ada-e-kam-amezi kis had tak badnam hui awwal awwal wahm-e-dawa ne lutf-e-sukun barbaad kiya aakhir aakhir dard ki daulat ulfat ka inam hui mahw hua didar talab dil aisa un ke jalwon mein goya mil kar bhi milne ki baat barae-nam hui kya jaane kyun dil ne teri yaad ka daman tham liya majburi aaghaz hui jab nakaami anjam hui kya kahiye kis kis ki nazar ne bad-zauqi ko aam kiya un ki nazron ke hote kyun duniya gharq-e-jam hui fikr-e-gham-o-alam 'rishi' hai goya nam judai ka un ki mahfil mein kab dil ko fikr-e-gham-o-alam hui