haal-e-dil kis-kis se hum sajha karen aur kitne dar pe ab sajda karen ghup andhera hai to phir aisa karen apni palken aap hi kuchh wa karen dusron ka kuchh bhala ho jaega aaiye apne liye achchha karen be-sar-o-pa hai hujum-e-khwahishat ek ho to aap se shikwa karen ta-ba-kai ho sha'iri mein zikr-e-yar koi gar naraaz ho to kya karen samne ho tum mujassam aaina khud ko dekhen ya tumhein dekha karen kar chuke jo 'nazr' karne the gunah waqt-e-akhir hasrat-e-‘uqba karen