dayar-e-ishq mein aashufta-kar hum bhi hain ze-farq-ta-ba-qadam shoala-zar hum bhi hain guzar rahe hain gulistan se bu-e-gul ki tarah sharik-e-mauj-e-nasim-e-bahaar hum bhi hain jo sun sako to hamari bhi arz-e-gham sun lo ki ek dukhe hue dil ki pukar hum bhi hain nawazte hain nigah-e-karam se jo sab ko ye un se koi kahe be-qarar hum bhi hain tere sitam ka hai is waqt imtihan manzur idhar bhi dekh tere jaan-nisar hum bhi hain kabhi kabhi to hamein fursat-e-masarrat de tere shikar gham-e-rozgar hum bhi hain sharik-e-mahfil-e-waiz jo ho gae hain to kya ba-faiz-e-tishna-labi baada-khwar hum bhi hain