ye arz kya hai khala kya hai aur sama kya hai teri hi zat hai har-su tere siwa kya hai ye mashghala hai tamasha hai silsila kya hai bana bana ke mitata hai majra kya hai jo soz-e-dil se mubarra ho wo dua kya hai jo ruh mein na utar jae wo sada kya hai sanbhaala dar ko to diwar gir padi logo ye ittifaq agar hai to saneha kya hai fana ho jis ka muqaddar use shumar na kar bas ek hi ka tasawwur hai dusra kya hai na jeb hai na gareban na ab guman-e-hayat hamare pas teri yaad ke siwa kya hai hisar-e-zat se apni agar nikal jae to phir na puchh ki insan ka martaba kya hai khalish bhi chahiye rasm-o-rah-e-mohabbat mein mile na dard ki lazzat to phir wafa kya hai junun ke daur mein aadab-e-ishq kya 'shaariq' kise khabar hai rawa kya hai narawa kya hai