dil unhen roe jo sail-e-tirgi mein gum hue ya unhen jo aap apni raushni mein jal-bujhe husn ho jata hai jis lamhe zarurat ka asir ek ho jate hain us dam khair-o-shar ke daere sab hawa ke rukh par udte barg ke hain ham-nawa kaun le us ki khabar rahta hai jo patthar tale raushni darkar hai to khud hi rauzan wa karo muntazir kab tak rahoge tum hawa-e-tez ke koi to hota jo khun-e-fan ki qimat jaanta dost nashir se to ab tak uzr-name hi mile