dayar-e-khwab ko niklunga sar utha kar main ki shad rahta hun ranj-e-safar utha kar main charagh jal na sakega jo us ki aankhon mein dharunga us ko kisi taq par utha kar main suna hai takht muqaddar se hath aata hai khajil hun rahat-e-tegh-o-sipar utha kar main chale jo sarw-o-saman mein bhi sath chal dunga khada rahunga na bar-e-samar utha kar main tere bahisht mein dil lag nahin raha mera ki sath la nahin paya hun ghar utha kar main ulajh raha ho agar ghair ki nigahon se lapet leta hun tar-e-nazar utha kar main alag nahin hun main apni tarah ke logon se pada hun zahmat-e-diwar-o-dar utha kar main nahin sununga nasihat kisi siyane ki rahunga tohmat-e-nau-e-bashar utha kar main yaqin kaise nahin aaega unhen mujh par wafa mein fard hun khauf-o-khatar utha kar main kahin visal ki surat agar dikhai di nikal padunga na sham-e-sahar utha kar main kisi pari ke tasawwur mein chum leta hun kisi gulab ko bar-e-digar utha kar main bahut hain chahne wale mere jahan-bhar mein girafta dil nahin bar-e-hunar utha kar main makan chhod to dun us hasin ke kahne par gali mein launga kya kya magar utha kar main mujhe wo taish dilate rahe agar 'sajid' to gundh dunga ye sara nagar utha kar main