hawa ke sath safar ikhtiyar karna tha dayar-e-shab ko khamoshi se par karna tha hamari khak koi chandni mein dal aae hamara kaam sitare shikar karna tha hui thi is liye takhir tum se milne mein khud apna bhi to mujhe intizar karna tha tumhaare waste karna tha main ne khud ko talash tumhaare waste main ne farar karna tha abhi se tum ne mujhe be-kanar kar dala abhi to tum ne mujhe ham-kanar karna tha hamari samt bhi ek sikka muskurahat ka hamein bhi apni reaya shumar karna tha falak to bhul bhi sakta tha laghzishen 'saifi' magar zamin ne bahut sharmsar karna tha