nashat-e-hijr ko teri kami ko bhul gae tere khayal mein dube tujhi ko bhul gae wo duniya-dar hain hum ne kabhi kaha to na tha ajib log hain is sadgi ko bhul gae adu ne hum se hamara ghurur manga tha ana-parast the hum zindagi ko bhul gae junun ka ek taqaza tha sirf sar-masti kitab jhonk di hum aagahi ko bhul gae ye kaisi bazm saji qahqaha nahin gunja guman hai tum bhi kisi aadmi ko bhul gae kisi ke ashk ne sairab kar diya 'shah-ji' so hum gharib-e-watan tishnagi ko bhul gae