samne aao ki main chehra-e-zeba dekhun aur is aaine mein aks phir apna dekhun tum hi manzil ho tum hi gauhar-e-maqsud mera dekh kar tum ko main kya aur tamasha dekhun tum hi batlao ki is kar-gah-e-hasti mein kya na dekhun main agar dekhun to kya kya dekhun tujh ko ye naz koi pa na sakega hargiz mujh ko ye zid ki tera naqsh-e-kaf-e-pa dekhun tu ne chaha to bahut gardish-e-ayyam ki main khud tamasha banun apna hi tamasha dekhun kash is zist mein wo waqt bhi aae 'mahbub' chaar su dahr mein iman ka ujala dekhun