tufan samundar ke na dariya ke bhanwar dekh

tufan samundar ke na dariya ke bhanwar dekh
sahil ki tamanna hai to maujon ka safar dekh

khushiyon ka khazina tah-e-daman-e-alam hai
guzre shab-e-tarik to phir nur-e-sahar dekh

ud jaana falak tak koi mushkil nahin lekin
suraj ke tamazat se jhulas jaen na par dekh

mearaj hai mearaj tere zauq-e-nazar ki
har manzar-e-dil-kash yahi kahta hai udhar dekh

chashme hain na dariya na samundar hai na jhilen
hai pyas ki aalam hain sarabon ka safar dekh

takraen to sahraon mein bhi aag laga den
poshida rag-e-sang mein hain kitne sharar dekh

tu ne to meri samt se munh mod liya hai
ab hoti hai kis tarah meri umr basar dekh

tu apni hifazat ki dua mang chuka hai
ab baith ke khalwat mein duaon ka asar dekh

is kar-gah-e-dahr mein ai rahmat-e-alam
ek main hi nahin sab hain tere dast-e-nigar dekh

kya tah mein samundar ki 'guhar' dhund raha hai
meri sadaf-e-chashm mein ashkon ke 'guhar' dekh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close