dekh aqd-e-surayya hamein angur ki sujhi kyun baada-kashan hum ko bhi kya dur ki sujhi ghash kha ke gira pahle hi shoale ki jhalak se musa ko bhala kahiye to kya tur ki sujhi hum ne to use dekh ye jaana ki pari hai pariyon ne jo dekha to unhen hur ki sujhi dekha jo nahane mein wo gora badan us ka billor ki chauki pe jhalak nur ki sujhi sar panw se jab phans gae us zulf-e-siyah mein jab hum ko syahi-e-shab-e-dijur ki sujhi jannat ke liye shaikh jo karta hai ibaadat ki ghaur jo khatir mein to mazdur ki sujhi masnua mein sanea nazar aawe to 'nazir' aah nazdik ki phir kya hai jahan dur ki sujhi