sair-e-chaman hai aur wo gul-ru kanar mein main be-piye bhi mast hun ab ki bahaar mein kab se hun kya bataun talash-e-bahaar mein ek phul bhi na tha chaman-e-rozgar mein chaalen nai nai si hain raftar-e-yar mein pad jaega khalal rawish-e-rozgar mein dil aur jaan donon bhi hain kis shumar mein aap ikhtiyar mein hain to sab ikhtiyar mein kyun na-umid aap ka ummid-war ho sab kuchh hai kya nahin nigah-e-sharmsar mein mujh ko jab apni baat ka rahta nahin khayal kyun bad-zani na aae dil-e-raazdar mein is se ziyaada lutf ka talib nahin hun main ummid ban ke rah dil-e-ummid-war mein ya maut aaegi mujhe ya nind aaegi aur ek shab guzar to dun intizar mein ai dard-e-ishq baat to jab hai ki mere dost marne ke baad chain na paun mazar mein nala khilaf-e-wada kiya hae kya kiya sun le jo wo to farq pada e'tibar mein wo kyun bulaen bazm mein mujh bad-nasib ko ghul-mil ke baithna nahin aata hai chaar mein main ne bhi tauba tod di apni to kya hua duniya ke log kya nahin karte bahaar mein mera waqar aap ka aaram bhi gaya aakhir ye kya bala hai dil-e-be-qarar mein ek taza wardat hai har ek dam ke sath mere irade aa nahin sakte shumar mein sau mehrbaniyon ke ewaz muskura diya sarkar ne kamal kiya ikhtisar mein hoga jab un ka qahr qayamat hi aaegi zinde rahenge ghar mein na murde mazar mein kahte hain log maut se bad-tar hai intizar meri tamam-umr kati intizar mein niklega ab ke jo bhi tera ai mughan-nawaz phulon mein rakh ke denge tujhe hum bahaar mein naseh bhi chaaragar bhi ye do do azab kyun munkir-nakir aate hain wo bhi mazar mein khai hui qasam to khuda ke liye na kha apni taraf se farq na dal e'tibar mein zahid ki tarah aur hain masjid mein saikdon ye kis shumar mein hai wahan kis qatar mein ishq aur aap wah safi' wah-wah-wa gham aur hae zindagi-e-mustaar mein