na ham-safar na kisi ham-nashin se niklega hamare panw ka kanta hamin se niklega main jaanta tha ki zahrila sanp ban ban kar tera khulus meri aastin se niklega isi gali mein wo bhuka faqir rahta tha talash kije khazana yahin se niklega buzurg kahte the ek waqt aaega jis din jahan pe dubega suraj wahin se niklega guzishta sal ke zakhmo hare-bhare rahna julus ab ke baras bhi yahin se niklega