dekh hamari did ke karan kaisa qabil-e-did hua ek sitara baithe baithe tabish mein khurshid hua aaj to jaani rasta takte sham ka chand padid hua tu ne to inkar kiya tha dil kab na-ummid hua aan ke is bimar ko dekhe tujh ko bhi taufiq hui lab par us ke nam tha tera jab bhi dard shadid hua han us ne jhalki dikhlai ek hi pal ko dariche mein jaano ek bijli lahrai aalam ek shahid hua tu ne hum se kalam bhi chhoda arz-e-wafa ke sunte hi pahle kaun qarib tha hum se ab to aur baid hua duniya ke sab karaj chhode nam pe tere 'insha' ne aur use kya thode gham the tera ishq mazid hua